Unfinished longs

Jo kat hi jaaye waqt, woh raat kesi ho
Jo bigde hi nhi woh baat kesi ho
Jo na nikle aansu, woh yaad kesi ho
Milne ke baad na tu lade, woh mulakaat kesi ho 

Mere kiraaye ke khaali makaan jaisi ho
Sard raaton main neend ke aaram jaisi ho 
Tum bilkul mere dil ke imaan jaisi ho 
Dil duka toh yaad aaya , btayo kesi ho
-------------------
Ki bahut khubsurat ho tum 
Nhi dekha maine kabhi itna hassen .
Nhi dekha maine itna dilkashi
Ki uparwala ki ek zinda murat ho tum
Khuda gawara bahut khubsurat ho tum 

Teri chehre ki roshni main chamkata ek chaand
Tere aage toh sard ki dhoop bhi feeki h 
Tere hothon se banta ek baandh
Tere muskan toh chasni se bhi meethi h 

Aur kya likhu teri aankhon ke baare m 
Samandar jitni gehrai h to 
Gehrai jitni Shanti bhi
Utna hi therav h 
 aur utani hi bhranti bhi 
-----------------------
Ki ek din tera jaana hoga 
Mera khud ko yun samjhana hoga 
Qayamat ka din tutega mujh par iss qadar
Ki meri maut hogi aur tera na aana hoga 

Raat bhar khud ko pilana hoga 
Subah uth kar daftar jaana hoga 
Yeh baatein zehen mein rehengi iss qadar 
Na hum honge na humara zamana hoga 
-------------------------
Duniya ki khubsurti samete hue apne chehre main 
Upar wale ki ek khaas murat hai tu 
Na gawara rahe, yeh mera pura seher
Iss qadar bepanah khubsurat hai tu

Teri aankhein ,wo khile gaal ,lehrate tere Baal 
Tere adayein aur tera woh laal rumaal
Ek pal bhar nazar main mukammal hai tu 
Tanha Sukhe dil ka bawandar hai tu 

Teri aankhein se toh khuda bachaye 
Jo dekh le unko koi toh so hi na paaye 
ishq par bharosa ek pal main aa jaaye 
Tu tu nhi h, uparwale ki ek tijori h tu

Mann jaagta hai mera sote hue 
Tujhse ek shikayat hai , ishq hote hue 
Zinda nhi lagti kyun tu hote hue 
hasti kyun nhi tu 
yahin baat niklati mere dil se rote hue 

Tu kyun itna pareshani rehti hai 
Kyun tu sab chup chap sekti h 
Tu bol mujhse main baat lunga Tera dukh
Par tu ek murat ki tarah khamosh rehti hai 
-------------------
उसका फिर दिख जाना
क्यूं इतना खराब है
सिर्फ उसकी आँखों से उसे पहचानना
मेरे लिए जिंदा श्राप है

ये कैसी मोहब्बत का हिसाब है
मैं साकी हूँ, वो शराब है

नहीं पसंद मुझे उसे देखना भी
पर नज़र कभी मिल ही जाती है
मुझे आता है गुस्सा उसे देख कर ही
मन में चिंगारी जल ही जाती है

Then tune change h bawa

उसकी यादों का हर्जाना अच्छा है 
आंखों में आंसू भर जाना अच्छा है 
अब जब उनको ही कोई परवाह नहीं 
अब उम्मीदों का मर जाना अच्छा है 
                                              -  शिनाख्त 

Comments

Popular posts from this blog

बदलाव

प्रेम का अर्थ

STUDENTS AND MENTAL HEALTH